Friday, January 28, 2011

Growing Corruption in India should come to a Halt !!!


Corruption ya Brasthachaar. Yeh shabd aaj ke taarik me ek aam baat ban chuki hai aur kar koi ise apna raha hai. Kya yeh Brasthachaar hamare desh me pehle se maujut hai? Iska jawab hai Nahi. Jab hamare desh Mahan purusho ke haath me tha jaise Mahatma Gandhi, Pt. Jawaharlal Nehru tab koi is Brasthachaar se taluk nahi rakhta tha, par aaj ke tarik me Jahan bhi dekho , jahan bhi jao, yeh Brasthachaar aapka peecha kar raha hai. Yeh Brasthachaar ham sab ke aam zindagi me ek keeda bankar sabhika sarvanash kar raha hai aur isse chutkara pana har koi chahta hai, par kya vakhae me hum isse aazadi pa sakte hai? Akhir kab humare desh ek“Brasthachaar mukt” desh kehlaega? Iski zimedari aakhir kaun lega?
Sawaal kahin hai par jawab kisike paas nahi.

Ayeye jaanne ki koshish kare aakhir Kya hai iski wajah? Garibi ya Badti abadi . Jahan tak humne dekha hai, Hamare desh ke log apne kamae se santusht nahi hai, aur unhe jyada se jyada paise ki bhook sata rahi hai. Desh ke bade bade Neta se lekar aam janta tak, har koi is corruption ka khel me shamil hai. Har koi chahta hai ki uski zindagi aish-o-araam se jiye. Isi paise ke lalach me log desh ke kanun ko nazar-andaz karte hue yeh raasta apna rahe hai. Kyun, Akhir kyun yeh Brasthachaar ki keeda hamare desh ko kha rahi hai?

Aaeye ab apko hamare desh me ho rahe Brasthachaar ke kuch tasveer se roobaru karate hai:

Corruption in Indian Politics:
Jab bhi ‘Indian politics’ ki baat aati hai, hume sabse pehle ‘corruption’ hi nazar aata hai. Indian politics me corruption ek aam baat hai. Hai koi ek dusre par aarop lagate hai par koi apna galti nahi sudharta. Kahi voting ke liye paiso ki hera-pheri toh kahin kisi party pe humla. Agar hamare neta apne desh me ho rahe corruption par rok lagana chahate hai toh unke sabse pehle ek sahi runniti aur sahi soch apnana hoga jisse is corruption par rok lag sakta hai.

Corruption in Indian Sports:
Indian khelo ki baat aati hai toh sabse sharmanak udaharan hai Delhi me hue Common Wealth Games jo duniya ke saamne apne desh ke corruption ka udaharan hi nahi, sabut bhi pesh kiya hai. Kalmadi ko Common Wealth Games aayojan karne ke liye jo paise diye gaye the, usse unhone paiso ki hera-pheri kar dia.

Dusre udharan hai IPL ki jisme Lalit Modi ne bhi paiso ki Hera-Pheri ki jiska khulasa khelo ke baad hua. Is IPL ki hera-pheri me aur bhi naam jude the. Aur har match me sattebaazo neb hi apna haath saaf kiya hai.

Aur bhi udaharan hai jaise Traffic police, Police inspector, Govt karmachari …..

Bharat me corruption ke chalte World Bank ne Bharat ko dene wala $800 Million rupyon  ke karz par rok lagae hai jab unhe yeh pata chala hai ki Bharat me corruption aaj bhi ho raha hai.

Ispar ab rok lagana jaruri hai aur iski upai sarkar ko jald se jald talashni hogi, taki dusre desh ke log hamare Bharat ko ek prasidh desh ke taur par jane, na ki ek corrupted desh ke taur par.

3 comments:

  1. I personally beleive that irradicating Corruption frm our Country is in Our hands only...
    Blaming anyone wont help anythng...
    Only if we start taking responsibilities on a personal level, we can actually prove to be helpfull in helping our country to get rid of Corruption.

    ReplyDelete
  2. Ya good thinking, nice article but I also feel that Corruption should b stopped in India and we should also support for the same..!!

    ReplyDelete
  3. ...good stuff... need new lingo polishing....but over all okk... gud tot.. nice stuff... keep it going...!!!!
    -Mayee

    ReplyDelete